Monday, October 19, 2009

Ik Sitam Aur Meri Jaan

Amanji you are never going to let my heart heal with beautiful tracks like this....sigh...

ORIGNAL VERSION:


Shafqat Amanat ALi's Version:




jaan abhi jaan baaqi hai
dil mein ab tak teri ulfat ka nishaan baaqi hai
ik sitam aur meri jaan abhi jaan baaqi hai

jurame-tooheen-e mohabbat ki saza de mujh ko
kuch to mehroom-i ulfat ka sila de mujh ko
jism se rooh ka rishta nahi toota hai abhi
haath se sabar ka daaman nahi choota hai abhi
abhi jalte hue khawaboon ka dhuaan baaqi hai

ik sitam aur meri jaan abhi jaan baqi hai

apni nafrat se mere pyar ka daaman bhar de
dil-e gustaakh ko mehroom-e mohabbat kared
daikh toota nahi chahat ka haseen taj mehal
aake bikhre nahi mehki hui yadoon ke kanwaal
abhi taqdeer ke gulshan mein khizaan baaqi hai

Ik Sitam aur meri jaan abhi jaan baaqi hai
dil mein ab tak teri ulfat ka nishaan baaqi hai
ik sitam aur meri jaan abhi jaan baaqi hai

3 comments:

  1. Heart ke liye to kuch kar lenge, song good hai naa! LOL

    Glad that you liked it, that's what matters the most!

    ReplyDelete
  2. App bhi yaar....lol...
    It was beautiful, I did a bit of editing as you may have noticed...;)

    ReplyDelete